Mehandipur Balaji Temple – Janiye Yahan Ki Poori Jankari Hindi Me

37
12270

Mehandipur Balaji Temple – Janiye Yahan Ki Poori Jankari Hindi Me

“को नही जानत है जग में कपि संकट मोचन नाम तिहारो”

Mehandipur Balaji Temple Baal Roop Hanuman
Hanuman Ji Ka Baal Roop

Hanuman Ji, Bajrang Bali, Pawan Putra Hanuman, Anjani Sut, Kesari Nandan aur Balaji Maharaj ye kuch aise Naam hai jinhe Kaun nahi janta. Aisa hi ek Mandir Hai Mehandipur Balaji Temple jahan Sankat Mochan Balaji Maharaj Ke Naam se jane jate hain.

यहाँ अलग अलग नाम से लोग इन्हें पुकारते हैं ; Mehandipur Balaji Temple :-

Sankat ke sataye log inhe संकट के कटैया, to Pitra dosh se pidit log inhe मुक्ति दाता, to kuch घाटे वाले बाबा, घाटे के सरताज, संकट हारी aadi naam se pukarte hain.

बाबा” ye ek aisa prachlit naam hai jo har varg ke logon ki juban par chadha rehta hai. Rajasthani prishthbhumi se prerit ye naam poore Bharat me lokpriya hai. Hanuman ji ke baal roop ko yahan “Balaji” ke naam se pooja jata hai, isliye mandir ka naam Mehndipur Balaji Maharaj pada.

Location Of Mehandipur Balaji Temple :-

Ye Mandir Rajasthan Rajya me sthith hai. Ye Sthan Dausa District me aata hai. Mehandipur Balaji Temple do pahadiyon ke bilkul beech me hone ke karan ise “Ghata Mehandipur” bhi kaha jata hai.

Mehandipur Balaji Temple Map
Mehandipur Balaji Temple Map

Wikipedia ke anusar Hindaun City ke paas Karauli District aur Dausa District ke Border par Mehandipur Village padta hai. Mandir ka aadha hissa ek district me to dusra aadha hissa dusre district me padta hai. Yahan ka Ram Mandir bhi adha adha dono districts me aata hai.

Mehandipur Balaji Temple Landmarks And Distance

Ye Temple desh ke sabhi nagar aur mahanagar se seedha juda hua hai. Yahan aane ke liye paryapt sankhya me Buses chahe Local ho, Private Tour Operators ki ho ya Roadways buses ho seedhi Balaji tak aati hai.

Yahan ka Nearest Railway StationBandikui” hai jo ki Mumbai Delhi Line par padta hai. Bandikui se Mehandipur Balaji 38 Kms. hai.

Pramukh Cities se yahan ki Distance is prakar se hai.

  • DELHI – 250 Kms
  • LUCKNOW – 471 Kms
  • AGRA – 135 Kms
  • BAREILLY – 334 Kms
  • GURUGRAM – 204 Kms
  • BHARATPUR – 80 Kms
  • MATHURA – 120 Kms
  • ALWAR – 99 Kms

Mehandipur Balaji Temple View

Balaji Maharaj ka ye Mandir aur iski Banawat Madhya Kaleen hai. Dekhne me ye Mandir behad hi khubsurat nazar aata hai.

Mehandipur Balaji Temple - Janiye Yahan Ki Poori Jankari Hindi Me
Mehandipur Balaji Temple Front View

Mandir ke main gate ke samne se darshan karte hue bahar ka rasta behad hi sankara hai. Mandir se bahar aate hi right hand side par Bhairav Baba ka ek behad hi chhota sa Mandir bana hua hai.

Bhairav ji jinhe yahan बटुक भैरव bhi kaha jata hai. Ye Maa Kali ke Putra hai. Ye Satvik roop me yahan puje jate hai.Anya Bhairav Mandir ki tarah inhe yahan Sharab yani “मदिरा” nahi chadhayi jati.

Bhairav ji ke nikat hi Mandir me ek “Jal ki Kundi” bani hui hai. Jiska jal kabhi khatam nahi hota. Mandir ke Punruddhar se pehle is Kund me Bhoot Pret se aaveshit log is kund me apna sir iske andar rakhkar ulte latak jaya karte the.

Mehandipur Balaji Temple Ke Shri Bhairav Ji Maharaj
Mehandipur Balaji Temple Ke Shri Bhairav Ji Maharaj

Joki, kafi hairan karne wala hota tha. Human Rights Commission ke directions ki wajah se ab is tarah ki pratikriyae ab yahan nahi ki jati.

Bhairav Mandir ke theek samne se upar ki aur jati Seedhiyan aapko Pretraj Temple le jati hain.

Sidhiyon se chadhte waqt bagal me hi Bhangi Bara “भंगी बाड़ा” bana hua hai. Upari badha se pareshan log yahan bhog lagaye dekhe ja sakte hain.

Pretraj Sarkar Mehandipur Balaji Temple
Shri Pretraj Sarkar – Mehandipur Balaji Temple

Upar Pretraj Mandir atyan manmohak Mandir hai. 2 baje se 4 baje tak yahan inki Court yani अदालत lagti hai. Jiski yahan bahut adhik Manyata hai.

Mandir se bahar aane ka pichhe ki taraf se kafi bada rasta hai. Raste me bikhre hue Chawal, Urad chalte hue kafi pareshani paida karte hain.

Sita Ram Mandir In Front Of Mehandipur Balaji Temple

Balaji Maharaj ke theek samne bana Bhagwan Ram ka Mandir behad hi khubsurat hai. Yahan Shri Ram Chandra ji Sita ji ke sath hai aur inke charno me Hanuman ji baithe hue hain.

Sita Ram Bhagwan ...Mehandipur Balaji Temple
Mehandipur Balaji Temple Ke Samne Sita Ram Bhagwan Mandir

Mandir me pichhle kai varsho se Ramayan ka Akhand Paath chal raha hai jo kabhi band nahi hota. Yahan ke 56 bhog ka drishya bahed hi achcha aur dekhne layak hai.

Samadhi Wale Baba ka Mandir Near Mehandipur Balaji Temple

Balaji Mandir ke samne se jata marg sidhe Samadhi Wale Baba ki aur le jata hai. jo ki chand hi kadmo ki doori par hi hai. Ye Samadhi yahan ke Pratham Mahant Shri Ganesh Puri ji ki hai. Is Samadhi ki Parkrama ka yahan khaas mahatva hai. Inhe Jalebi (जलेबी) ka bhog lagaya jata hai.

Ye bhi padhein :

Yahan Ki Sthaniya Samajik Dharna Social Attachment Of Mehandipur Balaji Temple

Yahan ke sthaniya logon me is Mandir ke prati bahut astha hai. Yahan ke Shopkeepers ho ya yahan ke rehne wale aas paas ke log bina Balaji Maharaj ke Darshan kiye bagair apne ghar nahi jate. Bhoot – Pret se sataye log roj Mandir me apni hajiri lagate hain.

Shri Kishor Puri Ji jo ki yahan ke Mahant Hai ek room me baithkar Pidit vyaktiyon ki fariyad sunte hai aur unka Upchar karte hain. Log unhe kafi aadar bhav se dekhte hain aur samman dete hain. Inke dwara koi shulk nahi liya jata.

Kaha jata hai ki yahan aas pados me jab bhi koi shadi hoti hai to shadi ke fauran baad Nav-Vivahit jode ko pehle Balaji ke Darbar me laya jata hai aur ye inka ashish lete hain.

Mehandipur Balaji Temple History In Hindi

Yahan ka Itihas lagbhag 2000 saal purana hai. Samadhi Wale Baba Mahant Shri Ganesh Puri Ji jo ki yahan ke sabse pehle Mahant the, is Mandir ka Itihas inhi se shuru hota hai. Us samay Mehandipur ek bahut vikral jungle hua karta tha. Bahut hi dangerous jungli janwar is ikale me hua karte the.

Mahant Ji ko raat me ek Swapn dikhayi diya jisme unhe Hanuman Ji dikhayi diye. Hanuman Ji inse sapne me bole ki Utho aur mera sewa bhar grahan karo. Mahant Ji ne ise sapna samajh kar bhula diya. Agle do din lagatar unhe fir yahi sapna dikhayi diya.

Teesre din ki raat ko jab ye yahi sapna dekh rahe the to inhe kuch shor sharaba sunayi diya. Jiski wajah se inki aankh khul gayi. Wo uthkar Shor ki awaz ki disha ki aur chal pade. Chalte – Chalte Mahant Ji ne dekha ki ek taraf se hazaro ki tadad me Deepak aur Mashale jalti hui inki taraf aa rahi hain.



Hathi aur Ghodon ki badi hi bhayankar awaze aa rahi thi. Ek bahut hi badi Fauj jaise koi poori ki poori Army chali aa rahi ho samne se aa rahi thi. Jinme sabse aage Balaji Maharaj, Shri Pretraj Sarkar aur Bhairav Ji maharaj the. Mahant ji ko dekh kar kuch dar sa laga aur we apne gaaon laut aaye.

Unhone fir sone ki koshish ki to abki baar unhe ek bada sa Mandir aur teeno devo ki Murtiyan dikhayi di. Ek awaz unhe sunayi di ki ” Utho aur mera Sewa Bhar lo. Mai apni lilao ka vistaar karunga aur kaliyug me apni shaktiyan dikhaunga”.

Mahant ji ne awaz par jyada dhyan nahi diya to khud Balaji Maharaj ne prakat hokar sakshat Darshan diye aur inse kaha ki ab waqt aa gaya hai tumhare dwara mera sewa bhar lene ka. Unhe ek Murti dikhayi jiske charo taraf ghanto aur ghadiyalo ki awaje aa rahi thi.

Mahant ji ne baad me ye sari baate gaaon ke bade logon ko batayi aur us jagah se Murti ko nikala. Usi jagah par chhoti si chaar diwari banakar wahan ek chhota sa kachcha Mandir banwa kar khada kar diya. Yahan ke log aakar prasad bhog laga diya karte the.

Mehandipur Balaji Temple – Murti Me Se Lagatar Nikalti Hai Jal Ki Dhara

Is mandir ki manyata yahan hue chamatkaro se judi hui hai. Yahan Balaji Maharaj ki Murti se left side ki taraf se ek jal ki dhara lagatar nikalti rehti hai. Murti par kitna hi Chola aur Sindoor kyun na chadha diya jaye ye jal ki dhara behni kabhi band nahi hoti hai. Ye sab wakai hairan kar dene wala hai. Aaj tak is jal ka srot pa pata nahi lagaya ja saka.

Mehandipur Balaji Temple - Balaji Maharaj
Inke Seene Se Lagatar Ek Jal Ki Dhara Behti Hai

Mehandipur Balaji Temple Worth Visiting Other Nearest Temples

Is Mandir ke aas paas kai anya Mandir bhi hai jo ki Darshan karne yogya hai.

  • Maa Kali Ka Mandir :- Shri Balaji Maharaj ka Mandir do taraf bane pahado ke beech bana hua hai. Iske ek taraf Teen Pahad hai to dusri taraf Saat Pahad. Maa Kali ka Temple Teen Pahad ke shuruaat me hi hai. Bhoot Pret se pareshan log yahan aakar sankato se mukti ki prarthana karte hain.
  • Sheshnag Bhagwan Ka Mandir :- Ye Mandir bhi pahad par bana hua hai. Yahan Sheshnag Ji ko doodh chadhaya jata hai. Pitra Dosh se pidit log yahan darshan karne jaroor aate hain.
  • Anjani Mata Ka Mandir :- Bharatpur – Jaipur Highway se Balaji Mod se Mehandipur Balaji Temple ki taraf ek dum shuru me hi Mata Anjani ka Mandir bana hua hai. Yahan Shiv Ji ki Gufa, Hanuman ji ki unki Vanar Sena ke sath bani behad hi umda kism ki murtiyan aadi bani hui hai. Mandir ke dwar par bane Lions aakatshit karne wale hai. Mata Anjani ki murti ke alawa aap photography bhi kar sakte hain.
Hanuman Murti Near Mehandipur Balaji Temple
Hanuman Murti Near Mehandipur Balaji Temple
Mehandipur Balaji Temple Ke Pas Bani Murti
Mehandipur Balaji Temple Ke Pas Bani Murti
  • Panchmukhi Hanuman Temple : Teen pahadiyo se hokar gujarte hue aap sidhe yahan asani se pahunch sakte hain. Behad hi sankari gufa ke andar baithe Panchmukhi Hanuman darshniya hai.
  • Langde Balaji Hanuman :- Bikaner Agra Road par mahaj 4 km ki doori par ye Temple bana hua hai jiske bare me bahut hi kam log jante hai.
  • Hanuman Ji Ki Virat Murti : Mehandipur me hi mukhya mandir ke paas bani ye murti aane jane walo ka sabka dhyan khinchti hai. Is Murti ki abhi tak Pran Pratishtha nahi hui hai. Aur iske charo taraf lohe ke kaanto wale taar laga rakhe hain. Fir bhi log paas se ise dekhne jarur jate hain.
Mehandipur balaji Temple Ke Pas Anjani Mata Mandir Ka Ek Drishya
Mehandipur balaji Temple Ke Pas Anjani Mata Mandir Ka Ek Drishya

Other Nearby Places Of Shri Mehandipur Balaji Temple Rajsthan

  • Salasar Balaji :- Mehandipur Balaji Temple ki hi tarah Hanuman Ji maharaj Rajasthan ke Sikar City ke paas Salasar sthan par puje jate hain.

Yahan Bajrang bali aapko adbhut roop me dikhayi denge. Yahan Balaji Maharaj Daadhi aur Munchon me dikhayi dete hain. Is mandir ko mukhya roop se Manokamna poori karne me bahut prasiddhi hasil hai.



Salasar yahan se kareeb 285 kms ki doori par sthit hai.

  • Jaipur :- “Pink City” yani Gulabi Nagari ke naam se prasiddh ye shahar Mehandipur Balaji Temple se matra 100 kms doori par hai. Sanskritik aur puratatvik drishtikon se Jaipur ki sanskriti bahut damdar hai. Tourists yahan sirf desh se hi nahi balki pure vishwa se yahan ghumne aate hai.

Purane kile, Mandir, Hawa Mahal, Amber Fort, Jaipur City Palace jaisi jagah yahan dekhne layak hai.

  • Mathura :- Shri Krishna Bhagwan ki janm sthali aur is pawan nagri ko kaun nahi janta. Mehandipur se thodi si door kewal 119 kms door hi Mathura padta hai. Iskon Temple, Shri Krishna janm sthal, Yamuna River, Prem Mandir, Vaishno Mata ka Mandir kafi acchhi jagah hai yahan dekhne ke liye.

Agar aapke paas samay hai to Mathura ke paas hi Vrindavan hai jahan aap Shri Banke Bihari Ji ke Mandir bhi darshan karne ke liye ja sakte hai.

  • Agra :- Taj Mahal, Mahtab Bagh, Dayal Bagh, Akbar Ka Makbara, Bageshwar Nath Mandir, Guru Ka Taal, Moti Masjid, Kaanch Mahal, Agra Fort yahan ke mukhya aakarshan hai. Taj Nagri Agra yahan se sirf 135 kms ki doori par hai.
  • Bharatpur Bird Sanctuary :- Yahan par aapko 250 se bhi jyada prajati ke pakshi dekhne ko mil jayenge. Balaji se Bharatpur Bird Sanctuary sirf 80 kms door hai.

Food & Eating Overview Mehandipur Balaji Temple

Yahan ka khana poori tarah se Vegetarian hai. Yahan kisi bhi Hotel wagairah me aapko khana bina Pyaz aur Lehsun ke milta hai. 50 Rupaye me yahan aapko thali mil jati hai jisme Roti, Sabzi, Daal aur Chawal hote hain.

Agar aap late khane ki aadat rakhte hai to aapko yahan time se hotel etc pahunchna hoga kyonki yahan ke bhojnalaya jaldi band ho jate hain.

Nashte me yahan Bread Pakode aur Pakodi bahut famous hai. Aapko yahan Roadside me lage hue Thelo par aapko behad hi kam paiso me alag alag varieties ke Paranthe mil jate hai.

Yahan 7 Rs. se 10 Rs. me Kulhad me milne wali Chai bahut hi jaikedar hoti hai.

Fruits, Vegetables aur Sweets aapko thik thak rates me yahan easily mil jayenge.

Rituals And Traditions Of Mehandipur Balaji Temple

Yahan Mandir me kai tarah ki Riti Riwazo ki manyata hai.

  • Yahan Arji aur Darkhast lagane ki parampara hai. Ye ek prakar ki Application ki tarah hoti hai jisme log kuch bhi pray karte hai. Arji 200 Rs ki aur Darkhast 10 Rs ki lagti hai jo Prasad ki Dukano se milti hai.
  • Mana jata hai ki yahan ka Prasad aur Arji ke Laddu khane se body ke sare kasht door ho jate hain.
  • Yahan par diye jane wale Chadhawe se Garib logon ke Kapde aur Khane ka intezam kiya jata hai. Pratidin aas paas ke schools me Mandir ka Prasad pahunchaya jata hai. Yahan Mahant KishorPuri Ji Chikitsalaya ke naam se ek Hospital bhi banaya gaya hai taki logon ko chikitsa suvidha uplabdh karayi ja sake.

खुशखबरी अब जी भर के बालाजी महाराज के मंदिर में ऑनलाइन दान करें How To Donate Online To Mehandipur Balaji

  • Balaji Maharaj Ko Laddu ka bhog lagane ka riwaz hai to Shri Bhairav Ji ko Urad aur Pretraj Sarkar ko Chawal ka Bhog lagane ka riwaz hai.
  • Yahan Kali Ji , Samadhi Wale Baba , Deewan Sarkar aur Bhangi Bare ka bhi bhog lagaya jata hai.
  • Log Holi Water yani Jal jo Balaji Maharaj ke seene se nikalta hai apne ghar le jate hai. Bimari aur Pareshani me Jal ka prayog kafi uttam mana jata hai.

Darkhast Mehandipur Balaji Ki Kya Hai – Kab, Kyon Aur Kaise Ise Lagate Hain?

Mehandipur Balaji Ka Mandir – Yahan Bus 2 Rs Me Bade Se Bada Bhoot Bolne Lagta Hai.

Aapka Ye Sir Dard Kahin Sankat Ki Nishani To Nahi – Mehandipur Balaji Facts

Vicinity Of Mehandipur Balaji Temple

Agar aap apni Dharmshala ya Hotel ki Roof yani chhat se charo taraf nazar ghumayenge to aapko dikhne wala nazara behad hi khubsurat hota hai. Mehandipur village charo taraf se Pahado se ghira hua hai. Lambi Vishalkaye Hanuman Ji ki Pratima man ko moh leti hai.

Mandir me entry karte hi aap payenge ki log andar Balaji Maharaj ke 14 Jaikare laga rahe hain. Kuch log sir ko gol gol ghuma rahe hote hain. To kuch cheekh pukar kar rahe hote hain. Aisa dekhkar mano rooh kaamp jaya karti hai.

2 baje se 4 baje tak Shri Pretraj Sarkar ke Mandir me to aap apna sara vigyan hi bhool jayenge. Yahan aakar aapko aisa lagega ki wakai me aisa kuch hai yahan jise asani se samjha nahi ja sakta.

Dekhne me yahan aapko apne paas ye chize nazar aayengi.


Halanki, yahan ka visual view anya mandiro ki tarah hi hai. fir bhi yahan aakar aisa lagta hai ki yahan kafi vividhtaye hain.

Mehandipur Balaji Temple Ki Arti

Yahan Darshan ke baad sabse important cheez agar koi hai to wo hai yahan ki subah aur sham ko hone wali Arti. Kul milakar 5 aarti hoti hai. Mandir ke main gate ke bahar ek Television laga hua hai jisme aarti ka Live Telecast hota hai. Bade bade Loudspeakers se Arti sunayi deti hai.

Is douran yahan Mandir ke bahar kafi jyada bheed rehti hai. Log Khade hokar Arti gaate hain. Mandir ke Mahant ji andar Balaji Mandir me Arti karte hain. Arti ke douran bahar electricity wires par achanak se saikdo Pigeons yani Kabutar aakar baith jate hain aur Arti ke baad inka chupchap se chale jana dekhna kafi hairan karne wala lagta hai.

Mehandipur Balaji Temple Aarti Timings

Aarti Timings In Summer

Shri Ram Darbar Temple :-

  • Subah – 06:00 se 06:15
  • Sham – 07:00 se 07:15

Shri Balaji Maharaj ke Temple me :-

  • Subah – 06:15 se 06:45
  • Sham – 07:15 se 07:45

Aarti Timings In Winters :-

Shri Ram Darbar Temple

  • Subah – 06:10 se 06:25
  • Sham – 06:20 se 06:35

Shri Balaji Maharaj ke Temple Me

  • Subah – 06:25 se 06:55
  • Sham – 06:35 se 07:05

Shower of Holi Water After Arti (Mehandipur Balaji Temple Ki Arti Ke Chheente

Arti puri hone ke baad Mahant ji Maharaj main gate se bahar aate hai. Unke hath me ek Jal ka Patra rehta hai. Jisme se Pavitra Jal ko we apne hatho me bharkar samne khade bhakto par door tak chhidakte hain. Ye chhinte yani Holi Water Drops jis jis par padti hai wo bhakt khud ko kafi bhagya shali samjhte hain.

Is dauran yahan kafi bhagdad bhi machti hai. Aksar Jebkatre aur Chor iska fayda utha lete hain. Aarti me aapko koi kimti cheez ya paise lekar nahi nikalna chahiye. Agar ho sake to wahan tak Bare feet yani nange pair hi jaye. Bhagdad me log apni slippers tak kho baithte hain.

Entry Fee Mehandipur Balaji Temple

Balaji Maharaj ke Temple me darshano ke liye kisi bhi prakar ki Entry Fee nahi li jati hai. Ye Temple poori tarah se nihshulk hai.

How To Reach Mehandipur Balaji Temple

By Road, By Train aur By Air yahan asani se pahuncha ja sakta hai. Har parakar ki Buses yahan tak aati hai. chahe Roadways ki ho ya Private Tour Operators ki. Delhi, Jaipur, Mathura, Alwar, Bharatpur, Agra se direct Buses yahan ke liye mil jati hai.



By train yahan ka Nearest Railway Station Bandikui Hai. Delhi Jaipur Line par ye station padta hai. Yahan se Mehendipur Balaji Temple 38 Kms. hai. Yahan se jane ke liye Local Jeep aur Local Buses asani se mil jati hai. Roads kafi achchhi hone ke karan sirf aadhe ghante me hi ye apko Mehandipur pahuncha dete hai. Kiraya bhi lagbhag 50 Rupaye lagta hai.

Agar aap Flight se yahan aana chahte hain to Sabhi pramukh Airports se apko flights mil jati hai. Yahan ka Nearest Airport Sanganer hai jo Jaipur me hai. Yahan se 100 Kms ki distance par Balaji Mandir hai.

Best Time To Travel Mehandipur Balaji Temple

Yahan aane ka best time Holi ke aas paas yani March April ka aur October November ka hai. Holi, Diwali aur Hanuman Jayanti jaise parv yahan dhoom dham se manaye jate hai. Garmiyo me yahan kafi garmi aur winters me kafi thanda rehta hai. Rainy season me aapko kafi jyada pareshani uthani pad sakti hai.

Desh bhar me is Mandir ki Lokpriyata hone ke karan ab saal bhar log yahan aate hai. Tuesdays, Saturdays aur Sundays ko yahan kafi bheed rehti hai. Wednesday, Thursday aur friday yahan aane ke best days hai.

Daily Expenses Per Head To Stay In Shri Mehandipur Balaji Temple, Rajasthan

Aapke Travelling Expenses ke alawa jo kuch kharcha hota hai, idea ke liye hum apko ek breakup de rahe hain. Iske hisab se aap apna Budget bana sakte hain. Yeh sabhi Expenses per head hain. Family members ke sath hone par sharing me ye gradually decrease bhi honge.

Room charges : Minimum 300

Breakfast : 50

Lunch : 80

Dinner : 80

Tea Thrice : 10*3 = 30

Arji : 200

Prasad : 50

Travelling Charges : Your Actual Charges

Local Rickshaw / Auto : You Actually Paid For

Donations & Charity : As per your choice

Estimated Total : 790 per head

Necessary Things Must Be With You – Sath Le jane wali Jaruri Cheeze

Ladies Cosmetics ka saman ya khushbudar cheeze utni hi le jaye jitni wahan jarurat ho kyonki wapis aate time aapko ye saman wahin chhorkar aana padega. Iske alawa kuch aur saman ki aapko waha jarurat mahsus ho sakti hai.

Waise to wahan aapko sabhi tarah ki cheeze local shops se mil jati hai fir bhi anavashyak kharch se bachne ke liye aap ghar se hi lekar chale to behtar hai.

  • Umbrella ( Rainy Season ke liye)
  • Rain suit ( Rainy season ke liye )
  • Sleepers apko wahan itna jyada kaam dengi jitna shoes nahi denge.
  • Diabetic patients ya aapki regular dawaiyan. Wahan medical need ke samay aapko qualified physician milna mushkil hai.
  • Hotel ke room ke liye lock.
  • Saaf dari aur chadar.

Do’s And Don’t’s Of Mehandipur Balaji Temple

  • Jab tak aap Mandir me ja kar Darshan nahi kar lete aapko kuch khana pina nahi hai.
  • Vyarth ka vartalap karna aur Peshi lete hue logon ko touch nahi karna chahiye.
  • Ghar wapis jate samay kisi bhi prakar ki koi khane pine ki cheez apne sath nahi le jani chahiye.
  • Apne khane ke packets aur pani ki bottles yahi par khali kar de. yahan ka kuch bhi apko ghar nahi le jana chahiye.
  • Wapis jate samay aapko pichhe mudkar nahi dekhna chahiye kya maloom koi buri atma apko dekh rahi ho.
  • Arti me jarur jana chahiye.
  • Koi bhi cosmetics, Tooth Paste, Powder, Oil, Soap etc. apko wapis apne ghar nahi le jana chahiye.
  • Mandir me jate time shoes, slippers utar kar jaye.
  • Saaf safai rakhe.
  • Pick Pockets se sawdhan rahe.
  • Pyaz, Lehsun, Bidi, Cigrettes, Tobacco etc. se bache.
  • Journey se pehle apni ek I.D. ( Identity Card ) apne sath jarur rakh le. Bina I.D. Card ke wahan stay karte waqt aapko hotel ya Dharmshala me aap room book nahi karwa payenge.

Where To Stay In Mehandipur Balaji – Best Hotels And Dharmshala Near Mehandipur Balaji Temple

Yahan aapko rehne ke liye Mehandipur Balaji Temple ke paas me hi aapke Budget ke hisab se Rooms mil jayenge. 250-300 se shuru ye Rooms aapko yahan easily mil jate hain.

Kuch achchi Dharmshala aur Hotels jo rehne ke liye aapko accommodation provide karate hai :-

  1. Calcutta Dharmshala

Address : Anjani Mata Mandir Ke Paas, Ghata Mehandipur Balaji Temple

Mobile : 8290879350, 9928887949.

2. Jai Shree Ram Dharmshala

Todabhim Road, Near New Bus Stand, Mehndipur Balaji, Rajasthan

Mobile # 09828661554

Contact : Through Facebook

3. Sri Krishna Ashram

Near Anjani Mata Temple, Mehandipur Balaji Contact Person : Shri Rajesh Mittal

Mobile # 9314047523

4. Kamandar Sahab Ki Dharmshala

Main Road, Near Mehandipur Balaji Temple.

Contact Person : Shri Mukesh Saraswat

Mobile : 098296-93453, 096722-43434

5. Tayal Dharmshala

Main Road Near Mehandipur Balaji Temple, Rajasthan

Contact Person : Shri Mukesh Sharma

Mobile # 01420-247024, 095094-12697

6. Madhuban Yatri Niwas

Kamandar Sahab wali Dharmshala wali Gali, Near Mehandipur Balaji Temple, Rajasthan
Contact Person : Shri Ghanshyam Yogi
Mobile # 98295-52711 , 97843-09595

7. Mittal Dharmshala

Main Road, Mehandipur Balaji Temple, Rajasthan

Contact Person : Shri Bhagwan Sahai

Mobile # 01420-247053, 094143-44628

8. Khandelwal Dharmshala

Address : Opp. Mahant Kishore Puri Chikitsalaya, Mehandipur Balaji Temple Road, Mehndipur

Contact Person : Shri Om Prakash Sharma Ji

Mobile # 080030-14276

9. Shiv Dham Ashram

Main Road, Mehandipur Balaji Temple, Rajasthan

Contact Person : Amit Vishnoi ji

Mobile # 01420-247149, 098288-26539

10. Baba Yatri Niwas

Main Road, Mehandipur Balaji Temple Road, Rajasthan

Contact Person : Shri Radha Mohan ji

Mobile # 094139-49161, 098293-59744

11. Shri Ram Sewa Ashram

Gali Aarti Hall Wali, Mehandipur Balaji Temple, Rajasthan

Contact Person : Shri Guddu Bharadwaj

Mobile # 098295-52243, 087644-79010

12. Saharia Vishram Griha

Todabhim Road, Mehandipur Balaji Temple, Rajasthan

Contact Person : Shri Satyendra Ji

Mobile # 098284-03406, 098293-22728

13. Shri krishna Yatri Niwas

Main Road, Mehandipur Balaji Temple, Rajasthan

Contact Person : Shri Shiv Ram Meena

Mobile # 097848-00490, 088758-69303

Other Related Articles:

श्री बालाजी पचीसा

अजब है शक्ति आपकी , अजब तुम्हारे रंग ।
चरणो में आ गिर पड़ा , ओ मेरे बजरंग ।।

बजरंग दर्द दिल का , किससे कहूँ मै जाकर ।
दुश्मन दरिद्र मुझ पर ,लाया है दल चढ़ाकर ।
संकट से वीर बंकट , मुझको छुड़ा तू आकर ।
सदमा है सख्त दिल पर , कहता हूँ सिर झुकाकर ।
तुझी से लौ लगी है , सुनले श्रवण लगाकर ।
अय अंजनी के नन्दन , रघुवर चरण के चाकर ।
बजरंग दर्द दिल का , किससे कहूँ मैं जाकर ।।

सूरत विशाल तेरी , मन मे मेरे बसी है ।
करने को तेरी खिदमत , मैंने कमर कसी है ।
अब तो यह बात बाबा , आकर कठिन फंसी है ।
सेवक सहे जो संकट , उसमे तेरी हँसी है ।

अद्भुत शरीर तेरा , है वीर वन के वासी ।
दृग देख कर देह मे , कूदे मदन विलासी ।
भृकुटि विपद को भंजन , कोटि मदन विलासी ।
वरन मे छवि कहाँ तक , दुष्टो को फूंक फांसी ।

माथे तिलक विराजे , सिर पर मुकुट निराला ।
कुण्डल श्रावण मे सोहे , गल बीच मुक्त माला ।
बाजू रत्न जड़ित है , सोहे भुजन मे आला ।
छवि जो निहारे तेरी , उसका हो बोल बाला ।

तन पे सिन्दूर सोहे , कर मे गदा विराजे ।
अद्भुत अनूप जंघा पे , जाँघिया को साजे ।
पत्थर पिघल हो पानी , पाताल दहल गाजे ।
चंदन खड़ाऊं सोहे , चरणों में वीर तेरे ।
जिन देव हाथ जोड़े , चरणों में रहे तेरे ।
जिन पर कुम्हर है तेरी , उनके फूंके है डेरे ।
अब तो सुफल मनोरथ , कर दे तू बाबा मेरे ।

जिनके जिगर में तेरी , सूरत समां रही है ।
उनका वह अपना जलवा , जग में दिखा रही है ।
सृष्टि की सारी सम्पति , उन्ही पे आ रही है ।
पर मुझ बेनसीब को , झांसा दिखा रही है ।

तुम्ही ने वीर बंकट , रघुवर के काज सारे ।
ढूंढन सिया को लाये , तुम रावण के द्वारे ।
बन के बिलई भवन सब , लंका के झांक डारे ।
लाये खबर सिया की , हे ! हरी के प्राण प्यारे ।

शक्ति लगी लखन के , तब काम तुम्ही आये ।
लेने को औषधि तुम , हे पवन पुत्र धाये ।
फिर जड़ समेत पर्वत , तुम्ही उखाड़ लाये ।
जाना नहीं किसी ने , रवि गाल में छिपाए ।
संकट मिटा लखन का , भई हर्ष सबके मन में ।
अतुलित अपार बल है , बाबा तेरी भुजन में ।

मारे है ताल जब तू , कूदे किलक के वन में ।
सुरों के शस्त्र कर से , झट गिर पड़े धरन में ।
जब ले गया प्रभु को , अहिरावण चुराकर ।
पाताल पहुंचे पल में , फिर तुम पता लगाकर ।
ली बांध मुश्के तुमने थी , मकर ध्बज की जाकर ।
दाखिल हुए भवन में , निज रूप को छिपाकर ।

सुन के वचन ख़ुशी हुयी , अहिरावण को भारी ।
झटपट से की असुर ने , बलिदान की तैयारी ।
बुलाए राम लक्ष्मण ली हाथ में कटारी ।
बोला कड़क फड़क कर , वह दुष्ट बलंकारी ।
सुन ले ओ राम तपस्वी , बंदर नचाने वाले ।
अरमान अपने जी के , तू अब सब ही मिटाले ।
करता हूँ अब तुझे मैं , सुन मौत के हवाले ।
जो ले हिमायत तेरी उसको तू अब बुलाले ।

बोले प्रभु ऐ मूरख , क्यों भय हमें दिखावे ।
धीरे से बोल भैया , हनुमान सुन न पावे ।
जीता तुझे न छोड़े , क्यों गाल तू बजाबे ।
संकट से वीर बंकट , फिर कौन हमें बचावे ।
सुन के वचन प्रभु के , हुंकार तुमने मारी ।
मर्कट गिरा धरन पर , भागे भवन पुजारी ।
फिर करके कोप तुमने , बज्र की देह धारी ।
अहिरावण असुर की , पल भर में दम निकाली ।

जिस पर है वीर वंकट , पड़ जाए तेरा साया ।
कायर से मर्द होवे, यह भेद वेद गाया ।
सेवक जो सच्चे दिल से , तेरी शरण में आया ।
उसके न घर से हर्गिज , टाले टले है माया ।
जो कोई भक्त तेरी , सेवा करे है जी से ।
हर फन में हर हुनर में , वह न दबे किसी से ।

पर जो विमुख है तुमसे , खोटी सुने सभी से ।
आफत पड़े है उस पर , दांती क़ज़ा भी पीसे ।
तुम्हारे सिवा न कोई , रघुनाथ को है प्यारा ।
जो चाहो सो करो तुम , अख्तियार तुम्हे सारा ।
अय बेकसों के बाली , मुझको तेरा सहारा ।
भिक्षुक हूँ तेरे दर का , झाँकू न कोई द्वारा ।

तेरे सिवा न कोई , इस वक्त में है मेरा ।
आकर के हर तरफ से , गर्दिश ने मुझको घेरा ।
अय केशरी के नंदन , करिये इधर भी फेरा ।
मांगू मदद मैं किससे , सेवक कहाँ मैं तेरा ।
इस वक्त वीर मेरे , दिन खोटे आ रहे है ।
दुश्मन भी वार अपना , मुझ पर चला रहे हैं।
सेवक तेरे को बाबा , जो अब सता रहे है।
वो नाम अपना मौत के दफ्तर लिखा रहे है।

लेते ही नाम तेरा , भय पास नहीं आये ।
रूठी हुई मुकद्दर , पल में हुक्म बजाये ।
तेरे सिवा न बाबा , चिंता मेरी मिटावे ।
तू ही वकील मेरा , मुझे राम से मिलावे ।
मुझ दीन की ओ दाता , कर ले तू अब सुनाई ।
दुनिया की फ़िक्र गम से , मुझको दिला रिहाई ।
मांगू मुराद ये ही , बुद्धि बड़े सवाई ।

मेरे रकीब पर हो, ताउन की चढ़ाई। तू शाह मैं भिखारी, कहने की क्या जरूरत। जो जी में आये दे दे, पूछे मती महुरत। अय शहंशाह हमारे, भोली है तेरी मूरत। तुझको प्रसन्न करने की, क्या करूँ मैं सूरत।

हलधर महंत तेरे, कदमो को सदा चूमे। दिज रूप राम तेरे, बल से विदेश घूमे। ज्ञानी गुनी हो जो भी, गुन सुन के तेरे झूमे। यह दास रहता है, निर्भय तेरी भू मे ।।

बजरंग दर्द दिल का , किससे कहूँ मै जाकर ।
दुश्मन दरिद्र मुझ पर ,लाया है दल चढ़ाकर ।
संकट से वीर बंकट , मुझको छुड़ा तू आकर ।
सदमा है सख्त दिल पर , कहता हूँ सिर झुकाकर ।
तुझी से लौ लगी है , सुनले श्रवण लगाकर ।
अय अंजनी के नन्दन , रघुवर चरण के चाकर ।
बजरंग दर्द दिल का , किससे कहूँ मैं जाकर ।।

Asha karte hain apko ye post pasand aayi hogi. Yadi aapke Paas koi suggestion hai ya aap koi baat hum tak pahunchana chahte hai jo ki logon ke liye kafi madadgar sabit ho sake to niche ja kar comment jarur kare. Aapke har sujhav ka swagat hai.

JAI SHRI BALAJI MAHARAJ

JAI SHRI PRETRAJ SARKAR

JAI SHRI BHAIRAV JI MAHARAJ

JAI HO GHATA MEHANDIPUR DHAM KI

JAI BABA KI

37 COMMENTS

  1. श्री बाला जी महाराज का टेम्पल वाकई में बहुत अभूतपूर्व है।
    जय बाला जी महाराज

  2. HAME BALAJI HANUMANJI KE ITIHAS KI PUSTIKA MIL SAKTI HAI? TO KRUPYA HAME MAIL KARE YA CALL KARE TAKI IS MANDIR KE BARMAIN SAMPURN JANKARI PAPT KAR DHANY HO SAKE. PLZ

  3. Thanks for sharing superb informations on Mehandipur Balaji Temple Rajasthan . Your website is so cool. I’m impressed by the details that you shared on this website. It reveals how nicely you understand this subject. Bookmarked this web page, will come back for more articles. You, my pal, ROCK! I found simply the information I already searched everywhere and simply couldn’t come across. What an ideal web-site.

  4. It is really a nice and helpful piece of information. I am glad that you shared this useful info with us. Please keep us informed like this. Thank you for sharing.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here