Google Ads Kya Hai, Ads Auction Kaise Kaam Karta Hai

2
668

Google Ads Kya Hai, Ads Auction Kaise Kaam Karta Hai :- Google Ads (Google Adwords) Google ki ek aisa advertisement system hai jisme advertisers vishesh words par Bid lagate hain jise Keywords kaha jata hai. Ye bid isliye lagayi jati hai taki Google Search Results par unke ads show ho sake. Ye sab ek aisa system hai jiske dwara Advertiser apni Website par traffic lata hai aur Google apni revenue generate karta hai. Yadi aap janna chahte hain ki “How does Google Ads work”, to hum aapko is post me iske bare me sab kuch jaise ki Ads Auction, Bidding Process, Cost-per -click aur Quality Score ke bare me batayenge.

Google Ads Kya Hai, Ads Auction Kaise Kaam Karta Hai

Kya Google Ads Websites Ke Liye Kaam Karta Hai?

Yah is baat par depend karta hai ki aap jin Keywords ke liye bid laga rahe hain wo aapki Website ke liye kitne jaruri aur sateek hai, sath hi ye kitna traffic aapki website tak la sakte hain. Ek galat keyword par lagayi gayi bid aapke liye bus money aur time ka waste ho sakti hai. Isliye, aapko sahi keywords par hi bid lagani chahiye.

Google Ads Par Advertisement Kaise De?

Koi bhi Website Owner Google Search Results par apne Ads show kar sakta hai. Iske liye aapko Google Ads ki site par jakar SignUp karke apna Account create karna hoga. Jiske liye aapko apni Gmail Id ki jarurat padegi. Uske baad aap Create Compaign me jakar aap apne hisab se Ads publish kara sakte hain.

Google Ads ya Ads Bidding Kaise kaam karti hai?

Ad Rank ke dwara aapki ad position ka pata chalta hai. Matlab yah ki aapki ad rank jitni achchi hogi aapka ad sabse achchi position par dikhaya jayega. Ad Rank aapke Maximum Bid Times Quality Score par depend karti hai.

Google Auction Kaise kaam karta hai?

Jab ek bar Google par kuch search kiya jata hai to Google search ki jane wane cheez ki request ko process karta hai. Aur jab results deliver hote hai tab Google Auction start ho jata hai. Isi se Ad Position aur Advertiser ki CPC ka pata chalta hai.

Google Auction Aapka Ad kaise show karta hai?

Jab koi user Google Search me apni query enter karta hai to us query me kuch Keywords hote hain. Inhi Keywords par lagayi gayi bid ki wajah se aapka Ad Google auction par run karne lagta hai. Matlab ye ki aapka ad search results me show hone lag jata hai.

Aapne us keyword par jo bhi maximum bid lagayi hogi Google aapke ads account se us keyword ka ad select karke show karna start kar deta hai.

CPC Kya Hoti Hai?

CPC ki full form hoti hai Cost Per Click. Jab koi user aapke ad par click kar ke aapki website tak pahunchta hai to us click rate ko cpc kahte hain. Cpc ko tay karne ke kai factors hote hai, jaise ki-

  • Quality Score
  • Maximum Bids
  • Competition of Keywords

Google Quality Score Kya Hota Hai?

Yah ek aisa tareeka hai jisse yah pata chalta hai ki aapka ad ek user ke liye kitna best hai. Aapka ad dekhne ke baad kitne clicks ho pate hai yani CTR (Click Through Rate), aapka Keyword ek user ke liye kitna sahi hai aur Jo kuch ek user ko chahiye wo aapki website ke landing page par usey milta hai ya nahi. Google quality score inhi baaton par depend karta hai.

Google Ads Ek Website Ke liye Kyon Jaruri Hai?

Agar aap chahte hain ki aapki Website ki rank achchi ho sake to iske liye aapko traffic chahiye hota hai. Traffic bhi genuine yani organic traffic hona chahiye. Iske liye aap apni site ko peomote kara sakte hain. Google ads iske liye sabse behtar tarika hai.

Mujhe ummid hai ki ab aap samajh gaye honge ki Google Ads kya hai aur Ads Auction kaise kaam karta hai. Apni jankari naye logon ke sath jarur share kare.



“Sharing Is Caring”

2 COMMENTS

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here