Mehandipur Balaji ke Niyam In Hindi – Poori Jankari

30
45713

Bhakton, Jai Shri Ram…. Bahut se log Mehandipur Balaji Ke Niyam janna chahte hain. Aaj hum isi topic par baat karenge aur janenge ki मेहंदीपुर बालाजी के नियम kya kya hain. Bahut se log Google par Search Karte hain aksar confuse ho jate hain jab unhe is tarah ke search results milte hain.

  • Mehandipur Balaji Jane Ke Niyam
  • Mehandipur Balaji Mandir Ke Niyam
  • Mehandipur Balaji Arji Niyam
  • Mehandipur Balaji Rules
  • Mehandipur Balaji Darshan Rules
  • Mehandipur Balaji Se Wapis Ghar Aane ke Baad ke Niyam
  • Mehandipur Balaji ke Parhej Ke Niyam

Aaj hum step by step sare niyamo ke bare me janenge kyonki Mehandipur Balaji ke ghar se jane se lekar ghar aane ke baad tak ke niyam karne hote hain. Aap confuse na ho isliye hum aapko batayenge ki kin logon ko in Rules ka sakhti se palan karna chahiye aur aam bhakt jan jo sirf Balaji Maharaj ke darshano ke liye wahan jate hain wo kin kin niyamo ko follow karein. Aapko is post me sabhi jankari di jayegi. To aayiye shuru karte Hain.

Mehandipur Balaji ke Niyam In Hindi
Mehandipur Balaji ke Niyam In Hindi

Mehandipur Balaji Ke Niyam :-

1. Mehandipur Balaji Jane Ke Niyam :-

Jab kabhi aap Mehandipur jane ke liye nikle to sabse pehle aap le jane wale saman me aawashyakta anusar kurta – Pyjama jarur rakh lein . Kurta Pajama Sankat walo ke liye jaruri hai kyonki –

  • Ye pehanne me dhile hote hain.
  • Sankat walo ko Peshi leni me aasani rehti hai. Dheele hone ke karan ye peshi lete hue fat te bhi nahi hai.
  • Garmi ke mausam me rahat dete hain.
  • Mandir me darshan ke liye best vesh bhusha bhi mani jati hai.

Jo vyakti sirf darshano ke liye ja rahe hain wo chahe to Kurta – Pajama le ja sakte hain ye unpar nirbhar karta hai. Agar aap Balaji Train se ja rahe ho to aap dono taraf ka Reservation karwa lein. Aksar dekha jata hai ki log jane ka to Reservation karwa lete hain lekin wapsi ka nahi karwate. Aksar dekha gaya hai ki bahut hi jyada bheed hone ke karan train unhe asuvidha ka samna karna padta hai. Bandikui Railway Station se jane wali sabhi Trains bheed se bhari rehti hai. Jaruri nahi ki agar aap Bandikui aaram se aa gaye ho to yahan se wapis bhi aaram se chale jayein. Isliye dono taraf ka Reservation kara lena hi theek hai.

Le jane wale saman me mahilaye cosmetics ka saman jaise Soap, Toothpaste, Cream, Lipstick, Powder, Hair Oil etc. utna hi le jaye jitna jaruri ho kyonki wahan se wapis aate samay aapko bacha hua ye saman wahin par chhorna padega. Ise aap ghar nahi la sakte, aisi manahi hai. Sankat walo ke liye to ye jaruri hai balki agar sirf darshano ke liye jane wale bhi is rule ko follow kare to achchha hai. Waise ye niyam sabhi ke liye banaya gaya hai aur isme koi burai bhi nahi hai.

Ghar se nikalte samay aap apne ghar me hi ek darkhast lagayenge aur balaji maharaj se prarthna karenge ki “Hey baba, hume surakshit apne Darbar bula lena”. Darkhast kaise aur kitne ki lagaye uske liye hamari ye Post padein –

Darkhast lagane ke turant baad aapko apne ghar se nikal jana hai aur rukna bilkul bhi nahi hai. Jab tak aap apne city yani shahar se bahar nahi nikal jate tab tak aapko kuch khana pina bhi nahi hai. City se bahar aakar aap kha ya pi sakte hain. Tabhi aapki darkhast manjoor hogi.

To ye the ghar se Mehandipur Balaji Jane Ke Niyam. Ab aage hum janenge –

Mehandipur Balaji Ke Niyam

2. Mehandipur Balaji Arji Niyam :-

Jaise hi aap Jaipur Highway par Balaji Mod pahunch jaye to samjho Balaji Maharaj ka ilaka start ho gaya hai. Is Balaji Mod se aapko kuch bhi khana pina nahi hai jab tak aap Balaji Mandir me apni Arji ya Darkhast nahi laga lete.

Hotel ya Dharmshala me room lene ke baad naha dhokar aap darshano ke liye niklenge. Paise utne hi bahar lekar nikle jitne ki apko wahan zarurat ho. Wahan jeb katne ki bahut hi ghatnaye hone lagi hai isliye behtar hai ki aap zarurat ke hisab se hi jeb me paise rakhkar chalein.

Agar aapko wahan Arji lagani hai to uska time subah ki Aarti ke baad se 12 baje tak ka hai. Grahan wale din aur ekadashi ke din Arji nahi lagti. Arji aapko prasad ki dukan se mil jayegi. Isme teen thali hoti hai. Ek thali me Balaji Maharaj ke liye Bundi ke Laddu, dusri me Uble hue chawal jinka Shri Pretraj Sarkar ko bhog lagta hai aur teesri thali me uble hue Urad hote hai, jo Bhairav ji ko chadhaye jate hain. Ekadashi ko to waise bhi chawal na khane ka riwaz hai isliye Ekadashi ko chawal ka bhog bhi Pretraj sarkar ji ko nahi laga sakte. Yahi karan hai ki Ekadashi ke din Balaji Temple me Arji nahi lagti aur Grahan wale din Mandir band rehta hai.

Agar apko Arji lagani hai to subah subah laga lein kyonki yahan bahut bheed rehti hai. Der se lagane ke karan ho sakta hai ki Arji ka time nikal jaye. Waise bhi 11 baje ke lagbhag Balaji ko Rajbhog lagaya jata hai jo ki lagbhag aadhe ghante chalta hai aur is dauran Arji nahi lag pati. Isliye aapko jaldi se jaldi Arji laga deni chahiye.

Jinhe Arji nahi lagani wo Balaji Maharaj ko Darkhast jarur lagaye. Ye Darkhast aapko prasad ki dukan se hi 10 rupaye me milti hai. Darkhast lagate time man hi man baba ko dhanyawad de ki baba aapki kripa se hum ghar se apke Darbar theek thak aaye hain. Arji ya Darkhast ke baad hi aapko kuch khana pina hai. Sankat walo ke liye to ye bahut hi jaruri hai.

Mehandipur Balaji Ke Niyam

3. Mehandipur Balaji Mandir Ke Niyam :-

Aap wahan chahe kitne bhi din kyon na rahe, wahan aapko kuch jaruri niyamo ka anusaran karna padta hai. Ye baat Sankat Walo ke liye to behad hi jaruri hai. Yahan Mehandipur Balaji Mandir Trust ne kuch niyam banaye hai jo ki is prakar se hain –

1. Jab bhi aap Balaji Mandir me Darshano ke liye jayenge aapko darshano ke liye line me lagna padta hai. Jaise jaise samay beetna shuru hota hai waise waise line bahut lambi hoti chali jati hai.

Tuesday aur Saturday ke din to bahut hi jyada bheed rehti hai. In dino me agar aap Balaji jate hai to aapko wahan 5 se 6 ghante bhi line me khada rehna pad sakta hai. Agar aapke sath mahilaye aur chhote bachche sath ja rahe hai to aap koshish kare ki aap aise din balaji dham pahunche jis din Mangalwar ya Shaniwar na pade. Sunday ka din chhutti ka hota hai, is din local aur aas paas ke log bhi badi sankhya me yahan pahunchte hai.

Bheed jyada hone par Aarti Hall se line hokar gujarti hain. Is Aarti Hall me kai kai lambi lambi Railings bani hui hai. Jab bheed bahut jyada hoti hai to in Railings me se log nikal kar jate hain. Garmi aur ghutan ke karan yahan bura haal ho jata hai. Kai kai ghante in lines me khade rehna bahut mushkul ho jata hai. Pine ke pani ke liye bhi aapko line me pareshani uthani padh sakti hai. In sab asuvidhao se bachne ke liye aap kisi aur din choose kare jab yahan itni bheed na rehti ho.

Subah ko jitni jaldi ho sake, naha dhokar mandir ki line me lag jana chahiye. Jitni jaldi aap jayenge utni jaldi aapko darshan karne ko milenge aur behad hi kareeb se Aarti me shamil hone ka aapko saubhagya bhi milega.

Line me pichhe se aate hue sankat wale jo Peshi le rahe hote hai unhe aage jane dena chahiye. Unhe rokna nahi chahiye.

Jab tak aap line me lage rehte hai, log bhajan kirtan aur Balaji Maharaj ke 14 Jaikare lagate rehte hai. Aapko bhi Balaji Maharaj ke Bhajan karte rehne chahiye. Pata nahi kab aapke dil ki pukar baba tak pahunch jaye aur wo turant aapki Arji pe faisla likh de.

2. Sabhi bhakt bhaiyo ko anya teerth yatrion ke sath swasth maanviya sambandho ko banaye rakhna chahiye. Aapas me kisi bhi prakar ka jhagda nahi karna chahiye. Aisa nahi hai ki aap agar wahan koi galat ya ashisht kaarya karenge to aapko wahan dekhne wala koi nahi hai. Balaji Maharaj ki shaktiyan, jinhe hum “Doot Maharaj” kehte hain unki nazar aap par hamesha bani rehti hai. Isliye aapko wahan Maryada me rehna chahiye.

3. Aarti ke samay mann se Balaji Maharaj ki Aarti me dhyan lagaye aur apni pareshaniyo se mukti ki Prarthna kare. Yahan Aarti ka bahut mahatva hai. Subah aur sham dono samay aarti me jana chahiye. Aarti ke baad bina bhagdad machaye Aarti ke chheente lene chahiye. Chheente lete samay apni jagah par hi rahein. Bhagyashali logon ko hi ye chheente milte hain. Aisa kaha jata hai ki jin logon par Aarti ke Chheente pad jate hain, unpar Balaji Maharaj ki kripa fauran shuru ho jati hai. Balaji Mandir ki Aarti samapt hone ke baad Samadhi Wale Baba ki Aarti shuru hoti hai. Aapko wahan bhi jarur jana chahiye. Balaji Mandir ke theek samne Sita Ram bhagwan ka Mandir hai. Uske bilkul bagal se hi ek rasta ja raha hai jo ki seedha aapko Samadhi Wale Baba tak le jayega. Thodi si doori par hi ye mandir bana hua hai.

Yahan par Aarti ke baad aapko Samadhi ki kam se kam 7 parikrama awashya karni chahiye. Kehte hai, Parikrama se hi bade bade kasht samapt ho jate hain. Ye Samadhi yahan ke sabse pehle Mahant Shri Ganesh Puri Ji Maharaj ki hai, inhi Mahant ji ko Balaji Maharaj, Shri Pretraj Sarkar aur Bhairav ji maharaj ne swapn me darshan diye the aur baad me sakshat prakat hokar is mandir ka Seva Bhaar sounpa tha.

4. Sabhi Teerth Yatrion ko yahan anuchit vyavhaar aur anavashyak vaartalaap se bachna chahiye. Mehandipur Balaji Temple, Rajasthan ek “Siddha Peeth” mana jata hai. Yahan aap jo kuch bhi bole soch samajhkar hi bole. Pata nahi aapki kaunsi baat ko sunkar Balaji Maharaj Tathastu keh de. Yahan ke chappe chappe par Baba ka waas hai aur yahan ki Raj Raj me Hanuman baste hain. Isliye anargal baaton se bachna chahiye.

5. Balaji Mandir ke andar balaji ke jaikare lagate rehna chahiye. Sankat walo ko jagah deni chahiye. Unke liye bhi baba se prarthna karni chahiye.

6. Bhog, Prasad, Arji aur Darkhast aadi aapko apne hatho se nahi chadhana chahiye. Ye sab saman aap Mandir ke andar pahunchte hi Pujari ko de dein. Wo aapka bhog khud hi baba tak laga denge. Mandir ki pavitrata banaye rakhne ke liye ye bahut jaruri hai.

7. Agar aap ghar me lagayi hui ya aapke sambandhiyo dwara di hui Arji ya Darkhast laye hai aur agar wo bandhi hui hai to usey khole nahi. Sabko ek jagah karke Pujari ko de dein. Na kholne ke pichhe yahi karan hai ki ek baar Arji ya Darkhast bandh jane ke karan ye Balaji Maharaj ka Maal ho jata hai aur usey kholne ka aapko koi haq nahi rehta. Jo paise khule hue ho unhe aap “Daan – Paatra” me daal sakte hai.



8. Yahan aapko kisi ka diya hua kuch bhi nahi khana hai. Ye baat behad jaruri hai. Ise achche se samajh lijiye. Kuch log galat tareeke se apni Darkhast ya Arji ke laddu aadi jo baad me bach jate hai kisi aur ko khane ke liye de dete hain. Jisse unka sankat khane wale par aa jata hai aur wo phir baad me bahut kasht uthate hain.

Balaji Mandir ke andar milne wala Prasad aap le sakte hain. Ye baba ke “Rajbhog” ka Prasad hota hai jo ki Amrit ke saman hai. Ise aap kha sakte hain. Iske alawa koi bhi prasad ghar na le jaye. Sab yahin kha lena chahiye.

Agar aap koi Prasad ghar le jana aur sabko baantna hi chahte hai to aap dukan se Mishri aur Mewa kharidkar Balaji Mandir ke samne bane Sitaram Bhagwan ke Mandir me chadha kar apne ghar le ja sakte hain aur sabko de bhi sakte hain.

9. Din me 2 baje se lekar 4 baje tak Pretraj Sarkar ke Mandir me unki “कचहरी” lagti hai. Yahan ka drishya dekhkar achchhe achchhe logo ki Rooh tak kaanp jati hai. Ho sakta hai kamzor dil walo ko kuch pareshani ho lekin mana ye jata hai ki 2 baje se 4 baje tak Pretraj Sarkar khud is kacheri me aate hain aur Sankato ko dekhte hai. Ye ek prakar ki Adalat hai aur Pretraj Baba yahan ke Judge hain jo Faisla likhte hain. Sankat walo ko yahan 2 baje se 4 baje tak awashya aana chahiye aur bhakti bhav se Hanuman ji ka sumiran karna chahiye. Kya maloom aapki Application par kya sunwai ho jaye.

10. Yahan jitne samay bhi aap rahein puri saatvikta aur Brahmacharya ke sath rahein. Sabko jameen par hi sona chahiye. Bachche, vriddha Palang ya bed par so sakte hain. Sote samay aapki disha aisi ho ki aapke paer (Legs) Balaji Maharaj ke Mandir ki taraf na ho.

11. Mehandipur Balaji Dham me anya bhi kai darshniya sthal hai jaise Kali Mandir, Anjani Mata Mandir, Saat Pahadi, Teen Pahadi aur Panchmukhi Hanuman Mandir. Aapko yahan bhi jana chahiye. Ek baat ka dhyan rakhe ki jab aap Saat Pahadi ya Teen Pahadi jayein to raste ki side me aapko kuch pattharo ke chhote chhote ghar dikhayi denge, joki logon ne apne Pitra yani Poorvajo ki yaad me banaye gaye hain.

Aapko kuch isi tarah se hi kachche chhote pattharo ke bane hue ghar ya sthaan bhi dikhayi denge. Bahut hi dhyan dene par ye samajh me aate hain. Aapko dhyan rakhna hai chalte waqt aapki pairo ki thokar in par na lage. Jinhe chalte chalte spitting yani thukne ki aadat hai wo bhi jara dekh kar hi thuke. Nahi to aapko pareshani ho sakti hai.

12. Aapko wahan kisi bhi Ojha, baba, Tantrik ke chakkar me nahi padna hai. Aap apna dhan aur samay dono gawa baithenge. Yahan Sabse Badi Sarkar Balaji Maharaj hi hain.



13. Pyaaz, lahsun, bidi, cigarettes, tobacco, maans madira ka yahan bilkul bhi sewan na kare. Balaji Maharaj ke niyamo me ye sarvada varjit hai. Hamare shastro me bhi Tamsik cheezo ko varjit bataya gaya hai. Kam se kam Mehandipur Dham me inka prayog na kare. Tabhi aapki Yatra safal mani jayegi.

14. Safai, Pavitrata aur Cleanliness ka dhyan rakhein. Rajaswala Striyon ko ashuddhi me 7 dino tak mandir me jane ki manahi hoti hai. Is dauran wo jal, Bhabhuti ityadi bhi nahi le sakti.

15. Aarti ke baad milne wala “Holi – Water” yani Pavitra Jal apne ghar le ja sakte hain. Bimari aur kasht ki sthiti me iska prayog kafi asardayak mana jata hai.

Ye Amrit tulya Jal Sakshat Balaji Maharaj ke Seene se nikalta hai joki kabhi band nahi hota. Kitna hi Chola Sindoor inki pratima par chadha de lekin ye Jal Dhara kabhi band nahi hoti. Yahi jal aarti ke baad bhakto ko baanta jata hai. Ise apne ghar awashya le jana chahiye.

16. Sankat wale jinhe Pretraj sarkar ka bhog, Bhairo Baba ka bhog, Diwan Sarkar, Samadhi Wale Baba Ka Bhog ya Bhangi Bade ka Bhog aadi bataye gaye ho apne Guru ji ke marg darshan me puri shraddha bhav se bhog lagawe.

17. Kisi bhi Prakar ki “Sawamani” yadi aap lagana chahte hain to Balaji Mandir ke Office se aap sampark kar sakte hain. Yahan aapko Sawamani ke Rates bata diye jayenge. Aap Paise jamakar ke Sawamani karwa sakte hain. Jiski Raseed yani Receipt bhi aapko di jayegi.

Mehandipur Balaji Ke Niyam

Kya Hoti Hai Sawamani ?

Sawamani ek prakar ka Balaji Maharaj ka Bhog hota hai. Jab koi bhakt Balaji Maharaj se koi manokamna mangta hai to kuch log bol dete hain ki baba manokamna puri hone par mai Sawamani karwaunga. Jab manokamna poori ho jati hai to bhakt Sawamani karwate hain. Balaji Maharaj ko Bhog lagakar ye Sawamani sabko khilayi jati hai. Ek tarah se ye “Bhandara” hota hai. Isme Halwa Poori Laddu jo ki Desi Ghee se bane hote hain. Sawamani bhi kai tarah ki hoti hai. Aapko Halwai se banwane ki jarurat nahi padti. Aapko bus iske paise jama kadwane hote hai aur aapko Mandir Trust banwa kar deta hai.

Iska sabse bada fayda jab milta hai jab Balaji Maharaj ko 11 baje Rajbhog lagaya jata hai. Chahe kitni bhi lambi line kyon na lagi ho agar aap Sawamani karwate hain to Mandir Trust aapko bina line me lage VIP darshan karwate hain aur aapki Sawamani ka Bhog lagwate hai.

18. Jab aapki Yatra poori ho jaye aur aap ghar wapis jana chahte ho to wapis jane se pehle Ek Darkhast jarur lagaye aur prarthna kare ki baba hame surakshit ghar tak pahuncha dena.

Darkhast lagane ke baad Mehandipur me ek pal bhi nahi rukna chahiye. Sath hi jab tak aap Balaji Mod se aage na pahunch jaye bilkul bhi aapko kuch khana pina nahi chahiye.

Cosmetics, jaise Cream Powder jaisa shuru me hamne bataya tha aapko bacha hua saman yahi chhor dena hai. Ise aapko ghar nahi le jana chahiye. Khane pine ki bachi cheeze jaise Biscuit Namkeen aadi cheeze bhi ghar le jane ki manahi hoti hai.

Mehandipur Balaji Ke Niyam

Mehandipur Balaji Se Wapis Ghar Aane ke Baad ke Niyam :-

Yahan teen baatein hai jinhe hum aapko batana chahenge.
1. Jo log sirf darshan karne gaye ho wo wapis aane ke baad kya Niyam kare?

2. Aise log jinka Sankat kat gaya ho aur unhe Raksha ke Doot Maharaj mil gaye ho wo baad me kya niyam kare?

3. Aise Sankat wale log jinka Sankat abhi tak na kata ho wo kya kya Niyam kare?

To aayiye pehle un logon aur bhakto ki baat karte hain jo sirf Mehandipur Balaji darshan ke liye gaye the. Aise logo ko kam se kam 11 din tak Pyaz, Lahsun Maans Madira ka sewan nahi karna chahiye. Subah sham balaji ki Puja jarur kare aur 11 din ke baad Balaji ko ghar me hi Darkhast lagakar apne Parhej samapt kar dene chahiye.

Aise Sankat wale jinke sankat nahi kate ho wo 11, 21 ya 40 din ke Parhej kare.

Jin logo ke Sankat kat gaye ho aur balaji ki kripa se unhe Doot Maharaj mil gaye ho unhe 41 din ke Niyam karne hote hai.

Mehandipur Balaji Ke Niyam

Mehandipur Balaji Ke Parhej Ke Niyam :-

41 days ke Niyam :-

1. Pyaz, Lahsun, Maans Madira aadi ka Parhej karna hai.

2. Poorna Brahmacharya ka Palan karna chahiye.

3. Subah Sham Hanuman Chalisa, Balaji Chalisa, Pretraj Chalisa aur Bhairav Chalisa ka path kare. Bajrang Baan aur Hanumashtak ka path bhi 41 dino tak karna chahiye.



4. Kisi ke ghar ka kuch bhi khana pina nahi hai.

5. Urad Chawal aur isse bani cheezo ka parhej.

6. Gami aur sobar me nahi jana.

7. Bataye hue Mantra ke 125000 jaap kare.

8. Laal mirch pisi hui aur Masalo ka prayog na kare. Shudh satvik aur sada khana khana chahiye.

9. Safed cheeze jaise Doodh aadi na le. Doodh me Chai Patti dalkar pi sakte hai.

10. Subah Sham niyam se Balaji Maharaj ki Agyaari kare. Isme dahakte Uple par Teen Batashe, Teen Jodi Laung aur teen chammach desi ghee dala jata hai. Doot Maharaj ka dhyan lagaye.

11. Jo bhi kuch khaye usme thodi si Bhabhuti daal ke hi khaye.

12. Jameen par hi dari ya chadar bichhakar sona hai.

13. Sabun, cream, powder ya oil jaisi khushbudaar cheeze nahi lagana. Natural cheeze jaise Multani Mitti, Neem ki Datun, Sarso ka oil laga sakte hai.

14. Mann me achchhe vichar rakhe. Har samay Jai baba ki ya jaikare gungunate rahe.

15. 41 din ke baad kisi Yogya Pundit ya Brahmin se apna Udyapan, Hawan karwa le.

Jai Baba Ki

Jai Shri Balaji Maharaj

30 COMMENTS

  1. Dhanywaad bohot bohot Dhanywaad ji
    Hum bhi kuch Dino me prasthaan karne wale hai Balaji ke dham me
    Bas ticket ka intejaar hai.

  2. Aapne bahut theek se samjhaya par Mai aapko apna experience share Karna chahunga k wahaan pandit log Jo Mandir Mai hote hai wo darshan Karne hi Nahi dete h aur bheed jyada dekhkar sabko Bina Kisi bhakt ki manokamna hue hi aage bhej dete hai.

    Mai balaji maharaj Gaya to Maine darkhaast li thi par bheed hone ki wajah se unhone alag line SE humein Nikal Diya aur bhi bahut log the aur hamara prasad ek jagah Rakh Diya tha jahaan aur bhi prasad the par mai balaji ko Nahi Dekh paaya iska malaal mujhe abhi tak hai. Maine bahar jaane k baad wapis Jane ki koshish bh ki par wo bole k pagal ho jaoge aur bahar Jane ko Bola to hum bahaar as gaye. Mera kehna hai k sab log ek samaan hote h bhagwan k liye aur sabka Mann Hota hai ko wo Apne anusaar bhagwan ko bhog lgaayein aur unke darshan Kare par ham hinduo k famous temples Mai logo ko bhakt ki koi chinta Nahi Hoti bs sabko niptana jaldi jaldi aur paiso kamaane se MATLAB Hota h. I am very unhappy just because of those people who was management of balaji maharaj temple.

  3. AGAR BANDA DARSHAN NA KAR PAYE TO BEKAR H IN LOGO KO KHUD SAMJNA CHIYE KI SAB BHAKT DOOR SE ATE H OR GARMI KA MOSAM BHI H SAB KO DARSHAN KARNE KA MOKA MILE DHREE DHREE SABKO NIKALA JAYE

    • Bilkul sahi kaha aapne PRINCE ji. Yahan ka management theek karne ki bahut jarurat hai. Thanks for commenting. Keep visiting the Mehandipur Balaji Blog Website.

  4. Mein baba k darbaar gya mujhe unki krupa se koi sanket ni hai na hi hm log bala ji se jude hue hai lekin mein unki pooja Kafi time se kr rah hoon mein jo mere dost hai wo bala ji se jude hue hai
    Mein srif baba k samne sir jhukane gya ab ghr akr confused hoon ki kon se niyam kare or kon se na kre plz help mee
    WhatsApp 9917271046 plz help me

  5. Meri wife par sankat hai…Kripya mujhe bataye ki mujhe arji lagani hai ya darkhast..Aur kya hum monday ko jaakar bhi sankat katwa sakte hain..Kya mandir khula hai…My whatsapp no 9899463342…Mujhe boht saari jaankaari chahiye kyunki mai boht time se pareshan hun..

  6. Mere ghar se mummy didi n bhai Gaye the sirf mundan k lite …aur hum aur papa nahi gye the ……toh Kya ye 41 din 11 ,21 din wale niyam hum par b Lagoo hote hai Kya hum log ………voh humne 32 din toh follow Kar Liya par aaj Galti se friend k ghar ka kha liya

  7. बहुत ही गहराई से आपने एक एक नियम बताया है। बहुत बढ़िया।

  8. दर्शन करने के बाद जयपुर घूम सकते हैं। या फिर direct घर आए. भोपाल से आ रहे हैं। plzz jarur bataye ….

  9. Bahut hi sundar yaatra rahi Babaji ke dhaam ki
    Parisar ki Safai ki taraf behatar kaary ki apeksha hai
    Uprokt niyam bahut hi sarahniy hain

    Jay Ho Balaji Maharaj Ki

  10. मेरे वे किरपा करो बालाजी सरकार में अर्ज़ी पेसी सब जर चुका हूं

  11. Jai Bala ji Maharaj Ki. Hmne Bala ji Maharaj ji ke 2 baar darshan kiye h dono 2022 me. koi asuvidha nhi hui. Darshan bhi ache tarike se hue. Bala ji Maharaj ne jo diya h acha diya h. Is varsh ek baar or darshan ki abhilasha h. Balaji Maharaj bulaenge to jrur darshan krenge. Jai Bala Ji Maharaj ki.

  12. Pandit Ji,

    Teen pahadi par panchmukhi balaji or Bhairo baba ke darsha karke jab bahar nikalte hai to waha dhuni bab ki dhuni lgi hui hai or pandit ji Bhabuti bhi dete hai kya wo bhabhuti hum le sakte hai ya ghar la sakte hai ya uska kya prayog hota hai ? kripya bataye

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here